Sunday, February 27, 2011

"Main Tujhe Bhula Dungi"

"Main Tujhe Bhula Dungi"
main dil par jabr karungi tujhe bhula dungi
marungi khud bhi tujhe bhi kadi saza dungi
yeh teergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho
main tere sheher ke sare diye bujha dungi
hawa ka haath bataungi har tabahi mein
hare shajar se parindein main khud udda dungi
wafa karungi kisi sogwaar chehre se
purani qabr par qutba naya saja dungi
isi khayal mein guzri hai sham-e-dard aksar
ke dard hadd se badhega tou muskura dungi
tu asmaan ki surat hai gir padega kabhi
zameen hoon main bhi magar tujhko asraa dungi
badha rahi hai mere dukh nishaniyan teri
main tere khat teri tasweer tak jala dungi
bahut dino se mera dil udaas hai
is aayine ko koi aks ab naya dungi .................

Relationship doesn't get closer by meetings,
but it is sweetend by THOUGHTS.

I care for you in my own STRANGE ways.
Maybe you will never know,
Maybe I will never show..

Sirf Raaste Nahii Hain, Manzil Bhii Hain,

Sirf Dard Nahii Hain, Dawa Bhii Hain,

Sirf Haar Nahii Hain, Jeet Bhii Hain,

Sirf Maut Nahii Hain, Zindagii Bhii Hain,

Sirf Jharne Nahii Hain, Samandar Bhii Hain,


Judai Meri Kabhi Satati To Hogi.
Dil Par Yadon Ki Badli Chhati To Hogi..

Shayad Asar Nahi Meri Yadon Mai.
Magar Aankhen Pani Chalkati To Hogi..

Mere Pass Se Guzri Hui Hawa .
Kabhi Mera Ehsas Dilati To Hogi..

Ummid Or Yakeen Hai Mujhko..
Yaad “uski” Ki Aati To Hogi.

hum duaon mein unki khushiyan mangte rahe,
humsafar unko mila aur hamein tanhayee to kya hua!!

hum saath unke chalne ki koshish karte rahe,
manzil unko mili aur hum bhatakte rahe to kya hua!!

kabhi naa chahaa humne unke ghar mein andhera,
roshni ke liye apna aashiyan jal gaya to kya hua!!

No comments:

Post a Comment