Sunday, February 27, 2011

Kabhi Hum Bhi Kitaabon mein Gulaab Rakhte the,

Yaad Nahi......
Koi had bhi us ko yad nahi,
Koi baat bhi usko yaad nahi,
Ek shaks ne usko chaha tha,
Wo zaat bhe usko yaad nahi,
Jab shab ki bijli chamki thi,
Aur badal toot k barsa tha,
dono jis main bheege the,
Wo barsaat bhe usko yaad nahi,
Wo saahil darya phool hawa,
Wo waada saath nibhane ka,
Aur shab bhar chand ko dekha tha,
Wo raat bhe usko yaad nahi,
Woh kehti thi main sunta tha,
main kehta tha wo sunti thi,
Un lakhon baaton main,
Koi ek baat bhe usko yaad nahi,

Yaad Nahi......


'ae khuda mere pe ek ehsaan karde,unke dil ke pure sab armaan karde,unki khushiyan ke liye agar tujhe kesi ke zindagi chaheye,to dair naa kar,tu mujhe abhi bejaan karde


Aaj Rootha huwa ek dost bohot yaad aaya,


Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya,
Meri aankho k her ek ashk pe ronay wala,


Aaj jab aankh yeh Roye tu bohot yaad aaya...

door jaa kar bhi unse door ja na sake,itna roye ke kesi ko bata na sake, dard yeh nahe ke woh hamein milna sake, dard yeh hai ke hum unhe bhulana sake


Labon Pe Geet To Aankho Mein Khwaab Rakhte the,

Kabhi Hum Bhi Kitaabon mein Gulaab Rakhte the,

Kabhi Kisi ka Jo hota tha Intzaar Ae "faiza",

Bahut Hi Shaam-o-Sehar Ka Hisaab Rakhte the,

Wahe Raat ke khamoshi,Wahe tanhaai.Yeh hawae apne sath kiski yaad le aai.Hum to baithe us CHAND ko dekh rahe the.Fir na jaane kiske liye aankh bhar aaye...>>>
Hamary door rehnay ka ek yeh bhi sabab hai....Suna hai roz milnay walon ko wo yaad nahi kartay..

No comments:

Post a Comment