Friday, March 4, 2011

"Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya
Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya
Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya
Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya
Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewaf...a Hum KoKe Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya
Kab tak raho ge aakhir…
Yun door door hum se…

Milna pare ga aakhir…
Ik din zaroor hum se…
...
Daman bachaanay walay…
Ye berukhi hai kesi…

Keh do agar huwa hai…
Koi qasoor hum se…

Hum chor dein ge tum se…
Yun baat cheet karna…

Tum puchtay phiro ge…
Apna qasoor hum se…

Hum cheen len ge tum se…
Ye Shaan-e-Beniazi…

Aur tum mangte phiro ge…
Apna gharoor hum se…

bheeg jaaye

Woh pyaar ka sabut dikhaya karta tha
Ansu bha kar hamain manaya krta tha:(

Ye zindagi sirf tum se wabasta hy
Aksar ye baat hamein bataya karta tha:(
...
Uski baaton mein kuch aisa asar tha
Main barish k bina hi bheeeg jaya karte the:(

Becheni jab hadd se barrh jati thi
Woh g bhr k galay lagya krta tha:(

Woh itni mohabat karne wala chala gya
Jo har baat par meri qasam khaya krta tha:(